3G Mobile Se Reliance Jio Ka Bar Code Kaise Nikale
Aapne
dekha hoga ki jo dekho reliance jio sim lene me laga hua hai kyuki
reliance jio 3 month ke liye internet or calling free de rahi hai, par
agar aaka handset 4g supported nahi hai to aap kya krenge ??
Aaj me aapko jo trick batane ja raha hun usse aap sikhenge 3g android phone se reliance jio ka bar nikalna.
Aaiye jante hain ki 3g mobile se jio sim ke liye bar code kaise nikale.
How To Get Reliance Jio Bar Code
Agar Aap 3G mobile se reliance jio sim ke liye bar code Lena chahte hain to aap ye steps follow kare.
1. Sabse pahle aapko My Jio ka old app download karna hoga kyuki latest my jio app is method me work nahi karega.
2. My Jio app ko install or open kare.
Yaha aapko Reliance Jio 4G ke 10 ya 11 apps show honge inhe aapko download karna he lekin open nahi karna.
3. Ab aapke phone ki settings me jaye.
Settings me apps ko select kare.
Apps me MyJio app par click kare.
My jio app ka data clear kare lakin uninstall na kare aapko sirf data clear karna hain.
Ab Ye Steps Follow Kare.
1. Apne android phone ke data connection ko Off karde.
2. Ab My Jio app ko open kare.
3. Ab fir se My Jio – Gateway To Jio ke option par click kare.
4> Ab aapko Get Jio Sim par click karna hain.
Aisa karte hi aapko error show hoga, ab aap us par click karke data connection ko ON karde
5. Ab ek bar back button ko press kare. or fir se Get Jio Sim par click karen.
aapko offers details milengi.
6. Terms and conditions ko accept karen. or aage ki process ko puri kare.
7. Ab aapko aapka bar code milega uska screenshot capture kare.
8. Ab aap is bar code se reliance digital store se reliance jio sim La skte ho.
Is
article se related agar aapko koi bhi problem aaye ya aapko koi bat
samjh na aaye to aap comment karke apna sawaal humse puch sakte hai.
No comments:
Post a Comment